Aankhon Ki Gustakhiyan Maaf Ho
Ho... Aankhon Ki Gustakhiyan Maaf Ho
Ek Tuk Tumhein Dekhti Hai
Jo Baat Kehna Chaahe Zubaan
Tumse Ye Woh Kehti Hai
Aankhon Ki Sharm-o-Haya Maaf Ho
Tumhein Dekh Ke Jhukti Hai
Uthi Aankhein Jo Baat Na Keh Sakin
Jhuki Aankhein Woh Kehti Hai
Aankhon Ki
Aankhon Ki Gustakhiyan Maaf Ho
Kaajal Ka Ek Til Tumhare Labon Pe Laga Loon
Haan Chanda Aur Suraj Ki Nazron Se Tumko Bacha Loon
Palkon Ki Chilman Mein Aao Main Tumko Chhupa Loon
Khayaalon Ki Ye Shokhiyaan Maaf Ho
Har Dam Tumhein Sochti Hai
Jab Hosh Mein Hota Hai Jahaan Madhosh Ye Karti Hai
Aankhon Ki Sharm-o-Haya Maaf Ho
Ye Zindagi Aapki Hi Amaanat Rahegi
Dil Mein Sada Aapki Hi Mohabbat Rahegi
In Saanson Ko Aapki Hi Zaroorat Rahegi
Is Dil Ki Naadaniyaan Maaf Ho
Ye Meri Kahaan Sunti Hai
Ye Pal Pal Jo Hote Hai Bekal SanamTo Sapne Naye Bunti Hain
Aankhon Ki
Aankhon Ki
Gustakhiyan Maaf Ho
Sharm-o-Haya Maaf Ho